Apne pehle cycling tour k baad, mein ne boht kuch seekha k mjhe apne ap ko aglay safar or challenge k liye kese tyaar rakhna hai. Apne aglay muhim k liye mein ne duniya k teesray barray ghair-qutbi glaciers ka intekhaab kiya, kyu k is k baray Pakistan mein zyada tar log nahi jantay thay. Or mein khud b us ilaqay or logo k baray mein janna chahti thi.
Kyu k mjhe cycle pe safar krna tha, is liye mein ne social media pe un tamam jag’hon ki maloomaat or tareekhein likh dein jb mjhe wahan se guzarna tha. Ye b t’ay krliya k aik din mein kitni cycling krni thi or rehna kahan pe hai. Har muhim se pehle ye research kr k puri trah planning krni hoti hai ta k mushkilat se bacha ja skay.
Sponsorship koi mila nahi or sb ne aakhri moqay pe inkar krdiya, to apni thori boht savings or zarorat k saman le k mein 23 July, 2016 ko subah Islamabad sports complex se rawana hui. Mere bag mein mere kapray, extra joggers, rain coat, power banks, map, torch, basic first aid kit, cycle (air)pump, water bottle, diary or kuch snacks parray thay. Pehle din mjhe Haripur mein rukna tha, shadeed garmi or GT road k be lagaam traffic ki waja se meri cycling ki raftaar kafi ahista thi or takreeban 3 bje mein apni manzil pe pohanchi. Sbse pehle target mera Skardu pohnchna tha, Skardu pohanchnay k liye mein in jaghon se guzri.

Haripur-Abbotabad-Balakot-Naran-Besal-Babusar-Chilas-Jaglot-Shengus-Rondu-Kachura-Skardu
Raste mein kafi cyclists aatay jatay rahay, Abbotabad k kuch students ne Mansehra tak saath diya. Besel se Chilas tak 2 motoryclists ne mere sath ride ki or phir wo agay Gilgit k liye nikal gae. Har trah k mosam ka samna hua, kahin jaghon pe cycle se utar k usay drag kr k be chalaana parra. Specially, Babusar top k aakhri turns bht tough thay or Chilas ki khushk tareen raod pe bht breaks lene parray, jb heat-strokes parray or himat jawab de gae to raste mein CPEC ki special force ne madad ki or rescue services di.
Jaglot se agay Skardu tak Hunza k 2 cyclists ‘Imran’ or ‘Ali’ ne join kiya jin k sath cycling krne ka bht maza aya kyu k wo cycling k baray mein bht jantay thay or unka stamina mjse b boht acha tha.


Skardu pohanchnay k baad sbse barra masla glaciers tak cycle le k jana tha or jis team ko mein hire krne lagti thi wo meri baat sun k hansnay lag jatay thay, k glacier pe cycling kese hogi? Aakhir kaar ‘Asghar Hussain’ or unki team k sath mein Askole tak rawana hui jo Skardu ka aakhri gao hai or jo Pakistan k sbse barray pahaari silsilo ka darwaza hai. Askole se subha 7 bje hm glaciers ki taraf paidal rawana hue, cycle ko k’hol k uske tyre utaray or alehda alehda purzay hm sb ne uthaye. Pehle stage pe pohnch k kafi tension hui, kyu k saray glacier pe baray baray pathar thay or jagah jagah crevasses (k’haiyan) thay. Jb stage ‘Namla’ pe pohanchay to thori umeed mili, kyu k wahan pe glacier thora plane nazar araha tha. Agli subha mein ne apni cycle assemble ki or chalana shuru kiya, balance krna mushkil tha kyu k tyre aksar slip hojata tha, lekin mein koshish krti rahi, or 3,4 kilometer tak ride mukamal ki. Latok Basecamp tak ka safar or aik virgin peak pe fail attempt mein takreeban 2 haftay lagay.


Jagah jagah land slidings ki wja se kafi chotein b lagi, or chehra b sun burn ki wja se khrab hua tha. jb bahir nikli to Skardu k logo ne boht izat se receive kiya.
Wahan sbse mil k pta chala k takreeban har dusra insan mountaineer hai or tourism k zariye he zindagi basar kr raha hai kyu k jo international climbers atay hain wohin unhe achi fees de patay hain. Us safar mein mjse har tarah ka dar or khouf nikal gya tha or mein aik mukhtalif insan bn k glaciers se bahir nikli. Raste mein local hotels mein akele rehna, Skardu mein gao walo k gharo se k’hana khana or glaciers jese sakht or khtarnaak mahol mein rehne ne kafi kuch sikha diya tha. Or ye b pta chala k Allah ne hamay kitni khubsarat jaghon or logo se nawaza hai, or inhi logo ki mehman nawazi ki wja se har saal international tourists or mountaineers Skardu atay hain or Pakistan ka tourism promote krte hain.

Ye tha Samar Khan ka adventurous Safar Nama, hmara newsletter subscribe kren aur aany waly safar namay b enjoy kren!